728x90 AdSpace

Latest News

Monday, 21 July 2014

Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah


hum ko bulana ya Rasool Allah
hum ko bulana ya Rasool Allah
hum ko bulana ya Habib Allah

kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi daikhein ge
hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

dharak uthay ga ye dil ya dharakna bhool jaye ga
dil-e-bismil ka us dar per tamasha hum bhi daikhein ge

hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

adab se haath baandhay un k rozay per kharay hongay
sunehri jaalion ka yun nazara hum bhi daikhein ge

hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

dar-e-dolat se lotaya nahi jata koi khali
wahan khairat ka butna Khudaya hum bhi daikhein ge

hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

barasti gumbad-e-khazra se takrati hui boondain
wahan per shaan se barish barasna hum bhi daikhein ge

hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

guzaaray raat din apnay isee umeed per hum ne
kisi din to jamal-e-roo-e-zeba hum bhi daikhein ge

hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

pohanch jayengay jis din aye ujagar un k qadmon mein
kisay kehte hain jannat ka nazara hum bhi daikhein ge

hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge

hum ko bulana ya Rasool Allah

Aamir Awan

Aamir is a freelance web designer and developer with a passion for interaction design. He studied Cognitive Science and Computational Logic and has a weakness for the smell of freshly ground peppercorns.

Website: Future Mindz

  • Leave Comments
  • Facebook Comments

2 comments:

  1. For Listening the Best Quran Reciting With English Translation Visit Our New Website:

    Http://www.langproff.com

    ReplyDelete

Item Reviewed: Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah Description: Rating: 5 Reviewed By: Aamir Awan
Scroll to Top